Website,Blog Ki Traffic Kaise Badhaye Unke Tips Hindi Me Jaane

Website ya Blog Ke Traffic Kaise Badhaye Unke Tips Hindi Me


Apne apna website bhi bna liya or post karna bhi sikh liya ab baat ati hai ki aapka website ko kitne log jaante hai ki aapne ek website bnaya...kiya ye
baat jarury nhi hai...bilkul hai ki hamare website ko kitne log jaante hai...ap puri duniya ko batayenge tab n jaanege ki aapne website bnayi hai...tabhi n aapki traffic badegi...to duniya ke logo ko or Traffic badhane ke liye kiya karna hoga jaanne ke liye hamara step follow kare....

Free Me Website Banane Ke Liye Yaha Click Kare

Traffic badhane ke Tips;-

Mai aapko kuch jarury baate or topics batata hu jinko aap dhiyaan me rakhna hai website ko succes bnane ke liye...

Keyword On Your Blog

Aap apne blog ke matter un keyword se bhare jo ki net par jiyada search kiya jaata ho...agar usse hi milta julta title likhoge to aap ke search ingine me bhi aap ka post ke name show karenge...or log aapki website par click karega...

Website Ka Template Fast Load Hone Wala or Khubsurat Set Kare

Aaj ke time me log fast chalna pasand karte hai bahut se website open hone me time leti hai...or visitor bor hokar website ko close kar deta hai...isse website ki traffic kam ho jaati hai...inse bachne ke liye aap blog template ki aisi setting kare jo fast load ho..or achah khoobsurat dikhne wala template ho...isse visitor ko achah lagega or wo aapke website par dubara aane ki umid jiyada hoti hai....

Share Buttons Ka Istemal Kare

Aap apne website me Share button ka bhi istemal kare isse jab bhi aapka visitor aapke website par aayega or aapka blog padhta hai or achchi lagegi to wo post ko facebook,twitter,etc par share kar sakta hai or aapki website ko or bhi lig jaanega or log aapki website par aane lagega... share button apne blog me lagane ke liye blog ki setting me jaaye or share button ki option ko select kare....

Blog Ki Title Ko Lamba Likhe

Aap jab bhi Blog likhe TO apne Title ko thoda lamba likhe inse aapki google search engine me is tarah aapka website search me jiyada aa sakti ahi....

Comment Kare
or ek baat aap jab bhi koy dusri website open kare to unme comment ki option ho to aap unme comment likhe or aap apne website ki Link BHI daal de is tarah us blog ki post ko read karne waali visitor aapke link par click karke aapke website par aa sakte hai to inse bhi aapki visitor badhegi....

Blog Ke Comment Ka Jawaab De

Jab aapke visitor apka blog padhkar use kuch pucna ho to wo aapko comment me puchega or us aane wale comment ko aap sahi jaankari ke saath jawaab de is tarah se visitor aap se achih meljol rakhegi or baar baar aapke website par aayega-;

ye saare tirick aap apnayege to aap ki website ka visitor  badhega to aapko ye mera post kaisa laga aap hme comment me jarur likhe..
or hamare agle post ki jaankari ke liye hamara email subscribe kar le...or aap inhe share bhi kare facebook page ko like bhi karle
Dhanywaad my all Visitor

INHE BHI PADHE

1 comment:

Aap ki madad karne me hame khuShi hogi agar aapko koy bhi pareShai aaye to hme comment me bataye mai aapka madad karunga

Note: Only a member of this blog may post a comment.