Mobile Ke DATA Delete Ho Jaane Par Use Recover Kaise Kare Jaane Hindi Me

Mobile Ke Data Delete Ho Jaane Par Recover Kaise Kare 


Jab ham apne samart phone ki memory se faaltu chije or faaltu file jab ham delete karte hai to... galti se kuch jaruri file bhi delete ho jaate hai jab kabhi hamare sath aisa hota hai to pachtane ke sewa kuch nhi kar sakte or sochte hai ki ye file ab hamesa ke liye remove ya delete hogaya...ab
wo file kabhi nhi wapas aa sakti...par ab aap ghabraye nhi kiyu ki aaj ke jamane me har baat, chijo ka tord nikal hi jaata hai...Technology ki madad ham apne android mobile phone ka Data Delete ho jaane par use wapas la sakte hai...

mai yaha aapko batane ja raha hu ki data ya file delete ho jaane par use wapas kaise laya jaye to aap hamare bateye huwe simple step ko sahi se follow karke aap apne android mobile ki delete file,data ko apne memory me wapas recover kar sakte ho bas aap dhiyaan se pade...

Note :- Hamare is post me bataye gaye step ache se or dhiyaan se follow kare nhi to aap agar data recover me jara sa bhi galti kiye to aapka remove hwa Data fir kabhi bhi wapas nhi aa sakta. or aapke mobile me dusra problem aa sakta hai....to aap pahle acheh se padh kar samajh le fir try kare....,

Aap ko apne mobile Data KO wapas lana hai to aap sabse pahle Computer me mobile Data recover karne wala APPS install karna padega... inke help se aap aasani se android mobile ka Data wapas la sakte hai...
ab mai aapko Step BY Step batane jaa raha hu aap step ko Follow kare....

1. Ease US Mobisaver  Data Recover software downlod kar ke apne computer me install karna hoga...
   ye software $39.95 Doller ka hai...lekin aap ghabraye nhi aapko wahi par inka FREE version mil jayega        apko free me downlod kar sakte hai downlod karke install karle...

2. app Data Recover software ko apne PC me install karne ke baad apne mobile ko Computer se connect 
    kare app USB cable se android mobile ko computer se connect kar le...

3. ab Computer me mobile ka FULL AXES dena hai...

4. uske baad mobile setting me jakar ABOUT PHONE me click kare....

5. About par click karne ke baad aapke saamne ek Bild Number ka option milega is par aapko tab tak click     karna hai jab tak ki ''' Developer On ''' ka option show na kare 

6. ap aap setting option par jaaye jaha aapko Developer ka option milega is Developer option me ja kar      
    phone me Dibging ko on kare...

7. ab aapka mobile jaise hi computer se connect hoga to Data Recover software aapko Axes se related 
    kuch massage show hoga....is massage par aapko OKpar click karna hai

8. iske baad jaise hi aapka mobile Data Recovry software se connect hoga to mobile ka sabhiDATA
    dikha kar pucha jayega ki aap kon konse Documents ko recover karna chahte hai yaja aapko
    jo Data Recover karni hai  aap unpar click kijye...

9. Fir aap jaise hi Documents par click karenge  Data Recover software aapka DATA recover karna shuru 
    ho jaayega

10. agar data recover processing start ho gayi to samajhye aapka data recover ho raha hai or isme kitna 
      time lagega ye aapke khoye huwe data par nirbhar karta hai....jitni MB ka aapka DATA hoga utni hi 
       Time lagega aapke DATA recover hone me
       aap is tarah se apna delete huwa data wapas la sakte hai.....

NOTE:- Kay baar data recover nhi hota hai...isliye is baat ka bhi koy guaranty nhi hai ki aapka data 100%
               recover ho jaayega...
               inki vajah ye hoti hai....ke kuch Virus ki vajah se aapka delete huwa data recover nhi bhi hota hai
               but aap try kary ho gaya to kitna achah hoga....kam se kam ek mouka to hai wapas laane ka....

TO my BEST fred aajka post aapko kaisa laga ummid karta hu ki har baar ki tarah aapko ye bhi pasand aaya hoga....agar aapko pasand aaya hai to plzzz.... ise aap social media par share jarur kare 
 Aapka Dhaniyvaad

0 टिप्पणियाँ:

Post a Comment

Aap ki madad karne me hame khuShi hogi agar aapko koy bhi pareShai aaye to hme comment me bataye mai aapka madad karunga

Note: Only a member of this blog may post a comment.