Bhul Gaye Hai Pattern Lock to Aise Kare Unlock Part - 02

Bhul Gaye Hai Pattern Lock to Aap Is Tarah Unlock Kre


Android user  apne phone me screen lock Pattern ya fir Pin Password daalte hai...agar aap apne android mobile ke pattern lock bhul gaye hai to aap hamare diye gaye baato ko acheh se padh kar follow kare

Unlock Kaise Kare Step BY Step Jaane 

Apne android divise ke screen lock pattern ko unlock karne ke liye android device manager ka istemaal kar sakte hai iske liye aapke mobile me Android device manager Enable hona jaruri hai.....
tabhi phone ke screen lock pattern ko unlock kar payenge....ghabraye nhi agar Android device manager Enable nhi hai to koy baat nhi...aaj ke time me har koy Email use karta hai or jahir si baat hai ke apne email id ko apne android mobile me Login kar ke rakhta hai...mera matlv ye hai ke jab aap email ID ko apne android mobile me Login karte hai tab aapka email ke jarye login ya setup karte hai to ye Enable Khud v khud ho jata hai....

NOTE - email id google gmail ka hona chahye.......

Step ko Follow Kare

Step - 1- Unlock pattern bhul gaye hai to aap Computer ya kisi or ke mobile par 
               www.google.com/android/devicemanager Open kare

Step - 2 - page open hone ke baad usi gmail id se login kare jiska istemaal aapne apne android phone ke                     setup ya login karne ke liye kiya tha.......

Step - 3 - uske baad android device manager par us phone ko Select kar le jise aap unlock karna chahte hai                   uske baad aapko Ring, Lock or irez ka option dikhai dega aap Lock ke option ko Select  kar le....

Step - 4 - Lock par click karne ke baad NEW Lock Screen ka option dikhai dega aapko yaha New                           Password konform password recovry massege option phone number option ka vikalv dikhai                         dega......yaha par aap ek new password daal de fir use conform karne ke baadniche ki taraf                         Cencle or lock kaoptoin dikhai dega yaha lock ke option ko slect kare.....aisa karke aap apne                       pattern lock ko unlock kar sakte hai...
                agar aapka phone is tarike se bhi unlock nhi ho paata ho to fir aapko factory Resate hi karna                         padega,,,,

Android 4.4 Ya Fir Usse Purane Version Ke Liye

1. agar aap 5 baar se adhik galat lock pattern daalte ke baad phone ki screen par forget pattern ka option         dikhai dega use aap select kare...

2. fir aapko bacup pin or google account login ka option dikhai dega yaha par aap apna bacup pin daale ya       fir google account se login kar le...
    jisse aapne apne phone ko lpgin ya setup kiya hai iske baad aap apne phone ko unlock kar sakte hai.....

to dosto ye aajka pattern lock part 2 kaisa laga aapko umid hai aapko issse help milega or hme bahut khusi hogi aapko madad pahuchane me
apko pasand aaya ho to plzz.... ise jitna ho sake aap share kare or aap apna gmail id se yaha par free me email suscribe kar sakte hai isse aapko faida ye hoga ki kabhi bhi is blog me post update hoga to aapke mail me bhi aa jayega aap hamesa hamse tach me rah payege to aap email suscribe jarur kar le or hamare facebook page like bhi kar sakte hai....bas isi tarah aap hmara saath dte rahe or ham isi tarah ke post aap sab ke bich ham share karte rahenge
                                                            Dhanyvaad

0 टिप्पणियाँ:

Post a Comment

Aap ki madad karne me hame khuShi hogi agar aapko koy bhi pareShai aaye to hme comment me bataye mai aapka madad karunga

Note: Only a member of this blog may post a comment.