Ek Baar Me Sabhi Jagah Se Logout Kare Apna Facebook Account

Ek Baar Me Sabhi Jagah Se Logout Kare Apna Facebook Account


Ham log kabhi kabhi bahut saare devise me apna facebook account ko login kar dete hai wo bhi pahle wale Devise se logout kiye bina...or ham bhul jaate hai ki hamne kon kon se divise me apna facebook login kiya
or logout nhi kar pate to ab koy baat nhi kiyu ki aaj mai aapko batane walal hu ki ek hi baar me saare divise se apna facebok ko login kiye huwe account ko logout kaise kare...to bas aap hamare bataye huwe bato ko sahi se follow kare....

hamare facebook ke \setting\  me kai aise fichar hai jinka istemaal is Social site par aapke account ko suraxit bana sakti hai... facebook setting ke jarye aap aasani se yah pata lag sakte hai ki aapka facebook account aakhri baar kis devise se login kiya tha......
agar facebook account alag alag jagah se login hai to ek click me sabhi devise se ise logout bhi kiya ja sakta hai.....

Aap aise pata laga sakte hai ki kon kon se Devis me aapka facebook login hai

facebook setting  ke jarye n sirf ya pata lagaya ja sakta hai ki account kis devise se login hai balki ya bhi pata lagaya ja sakta hai ki kis location par ise istemaal kiya ja raha hai.......to ab ham aapko main point batane ja rahe hai....aap step ko follw kare...
aap pahle apna facebook account ko login kare 

STEP- 1 Aap sabse pahle facebook ke left side par click kare


Step-2 uske baad ek page khulga logout ke upar me setting ka option hoga aap waha click kare



STEP- 3 ab aap ko right side me security ka option hoga aap vaha click kijye


STEP- 4  Ab aapke saamne ek or file open hoga aapko Where you're logged in par click karna hai


click karne ke baad ab yaha par aap ye jaankari le sakte hai ki aapka facebook account kin kin Devise or kis location se login hai agar aap chahte haiki in sabhi Devise se facebook ko logout kar diya jaye to isi vikalp me deye gaye option End Activity par aap click kar ke saare Divese ko logout kare bas end activity par click kare or logout ho jayega kuch is tarah niche photo me dekh sakte hai...



ab aapke jitne bhi Devise me login kar ke bhul gaye the wo saare logout ho jayega......
agar aapko kabhi bhi lagega ki aapka facebook koy us kar raha hai to bas aap isi tarah se dekh sakte hai ki kab kaha or kon use kar raha hai...us time aap turant end activity par click kar ke use logout kar sakte hai....

ab aap chahte hai ki ham kabhi bhi koy mobile matlv Devise me apna facebook login kare to hme pata chalna chahye ki hamne kon se mobile ya pc Devise me login kiya....isse faida ye hoga ki agar aapka koy bhi facebook login karega aapke facebook,email, and mobile par Notification alurt mil jayega...notification ko on karne ke liye aap hamare Step nomber 1 se 3 aap jaise hane upar bataya hai aap step 1 se 3 tak fir se kare...ya aap agar hamare 5 Step par hai to aap sabse top par dekhenge Login Alert aap vaha clic kare.....aap niche pic me login alert ka step dehe

Notification Alerts ko  On Kaise kare Dekhye hamare in Step me

facebook par login alert ke jarye  account login hone ki jaankari pai ja sakti hai jab bhi facebook account login hoga to iski jankari massage ke jarye usser tak pahuch jaayega iske liye aap login alert me jakar on kar le
Step- 6  Login Alerts par click kare 



login alert par click karte hi aapke samne ek page khulega kuch is tarah niche pic me dekhe


pic me dekhe or Get Notifications me click kare or Email login Alert me click karke aap login alerts ko on kar sakte hai....

bas ahmne jaise aapko bataya waise aap follow kar ke isko pura kar sakte ho
umid hai aapko ye pasasnd aaya hoga or aapki madad me bhi aaya hoaga pasasnd aaya ho to plzz...share kare niche kuch box me faceook.twitter,google+ and etc ka option hoga aap waha se bhi share kar sakte hai....or aap hamare page ko like bhi kar sakte hai like page hmne apne website par bhi ad kiya huwa hai home page ke leaft top par waha like kar sakte hai 
or aap hamara email id ko bhi suscribe kar sakte hai usse faida ye hoga ki ham kabhi bhi koy bhi post karenge aap ke email me notifications mil jayega or aap hmare sath conect me bhi  rahege...

Thank you aapne apna kimti time dekar hamare website me time diya or padah bas aap isi trah hmara saath dete rahe or ham aapke usefull related post karte rahenge jisse aapki madad me aa sake 
Dhanywaad

0 टिप्पणियाँ:

Post a Comment

Aap ki madad karne me hame khuShi hogi agar aapko koy bhi pareShai aaye to hme comment me bataye mai aapka madad karunga

Note: Only a member of this blog may post a comment.